Posts

Ek Anjana Sahar

Ek anjana shahar aur ek nai jagah, pahle kabhi na hua tha esa jo ho gya, Wo ahsaas tha jo mere liye khas tha, bina wajah ho gya, bas ho gya tha, lahar dar lahar mauj dar mauj, badalti gai zindagi aur jagah, jane anjane me pahuch gaya us jagah, jha kabi socha bhi na tha, fir kya tha wo ho gya jo na hona tha, ek ahsaas jo aaj bhi yad hai jise bhula nhi sakta, wo bade jo nibha nhi sakta tha, wo yade jo mita nhi sakta tha, un chand lamho ko ek pal me sanjokar fir kisi aur jagah nikal gya hun, shayad un yado ko bhulana chahta tha jo jud gai thi mere se, us pal ko bhul jana chahta tha jo jud gai the mujhse, fir wahi ek anjana shahar aur ek nai jagah, badal dunga zindagi us nai jagah aur, badal dunga un sab beete lamho ko jo chadar ki tarah odh kar rkha tha, aur daba dunga un kitab k panno me jo kabhi na mera tha aur na kabhi ho saka.
Recent posts